Ghazal ki kabr pe aansoo baha ke laut aaya
Mushairon main latife suna ke laut aaya
Safar main jitna maza hai wo mainzilon pe kahan
Main is dafa to bahut dur ja ke laut aaya
Ye soch kar ki wo tanhaai saath layega
Main chat pe baithe parinde uda ke laut aaya
Wo ab bhi rail main baithi sisak rahi hogi
Main apna haath hawa main hila ke laut aaya
Khabar mili hai ke sona nikal raha hai wahan
Main jis zameen pe thokar laga ke laut aaya
Wo chahata tha ke kaasa kharid le mera
Main uske taj ki keemat laga ke laut aaya
Safar main jitna maza hai wo mainzilon pe kahan
ReplyDeleteMain is dafa to bahut dur ja ke laut aaya............nice lines.....rehan ji.......