chaand apna safar khatm karta raha
shama jalti rahi raat dhalti rahi
khwaab palkon se gir kar fanaah ho gaye
do qadam chal ke tum bhi juda ho gaye
meri haari thaki aankh se raat din
ek nadi aansuon ki ubalti rahi
chaand apna safar khatm karta raha
shama jalti rahi raat dhalti rahi
subah maangi toh gham ka andhera mila
mujhko rota sisakta savera mila
main ujaalon ki nakaam hasrat liye
umr bhar mom ban kar pighalti rahi
chaand apna safar khatm karta raha
shama jalti rahi raat dhalti rahi
chand yaadon ki parcchaiyon ke siwa
kucch bhi paaya na tanhaiyon ke siwa
waqt meri tabaahi pe hansta raha
rang taqdeer kya kya badalti rahi
chaand apna safar khatm karta raha
shama jalti rahi raat dhalti rahi
dil mein yaadon ke nashtar se toota kiye
ek tamanna kaleja masalti rahi
chaand apna safar khatm karta raha
shama jalti rahi raat dhalti rahi

No comments:
Post a Comment