Wednesday, June 22, 2011

Jugnu Koi Sitaron Ki Mehfil Mein Kho Gaya

Jugnu Koi Sitaron Ki Mehfil Mein Kho Gaya
Itna Na Kar Malaal Jo Hona Tha Ho Gaya

Perverdigar Jaanta Hai Tu, Sabke Dil Ka Haal
Main Jee Na Payunga Jo Use Kuch Bhi Ho Gaya

Ab Usko Dekh Kar Nahi Dhadkega Mera Dil
Kehna Ki Mujhko Ye Bhi Sabak Yaad Ho Gaya

Baadal Utha Tha Sabko Roolane Ke Vaaste
Aanchal Bhigo Gaya Kahin Daaman Bhigo Gaya

Ek Ladki Ek Ladke Ke Kandhe Pe Soyi Thi
Main Ujli Dhundhli Yaadon Ke Kuhre Mein Kho Gaya

Saturday, June 18, 2011

Badnam mere pyar ka afsana hua hai Deewane bhi kahte hain k diwana hua hai




Badnam mere pyar ka afsana hua hai 
Deewane bhi kahte hain k diwana hua hai
 Rishta tha tabhi to kisi bedard ne tora
Apna tha tabhi to koi begana hua hai
 Badal ki tarah aa ke baras jaiye ek din
Dil ap ke hote huay wirana hua hai 
Bajte hain khayalon may teri yad ke ghungroo
Kuch din se mera ghar bhi parikhana hua hai
Mausam ne banaya hai nigahon ko sharabi
Jis phool ko daikhoon wahi paimana hua hai

chaand apna safar khatm karta raha shama jalti rahi raat dhalti rahi


chaand apna safar khatm karta raha 
shama jalti rahi raat dhalti rahi

khwaab palkon se gir kar fanaah ho gaye
do qadam chal ke tum bhi juda ho gaye
meri haari thaki aankh se raat din 
ek nadi aansuon ki ubalti rahi

chaand apna safar khatm karta raha 
shama jalti rahi raat dhalti rahi

subah maangi toh gham ka andhera mila
mujhko rota sisakta savera mila
main ujaalon ki nakaam hasrat liye
umr bhar mom ban kar pighalti rahi

chaand apna safar khatm karta raha 
shama jalti rahi raat dhalti rahi

chand yaadon ki parcchaiyon ke siwa
kucch bhi paaya na tanhaiyon ke siwa
waqt meri tabaahi pe hansta raha
rang taqdeer kya kya badalti rahi

chaand apna safar khatm karta raha 
shama jalti rahi raat dhalti rahi

dil mein yaadon ke nashtar se toota kiye
ek tamanna kaleja masalti rahi

chaand apna safar khatm karta raha 
shama jalti rahi raat dhalti rahi

Bohat khamoush reh kar wo sadaaen mujh ko deta tha


Bohat khamoush reh kar wo sadaaen mujh ko deta tha
bade bhar-poor jazboun ki qabaaen mujh ko deta tha
kabhi jo dard ki aatish mujhay sulganay lagti thi
wo apne saans ki mehki hawaaen mujh ko deta tha
wo uski chahatain bhe sari duniya se anokhi then
riyazat khud wo karta tha jazaaen mujh ko deta tha
meray ehsaas k seharaoun main jo dhoop badhti thi
wo mousam ka khuda ban kar ghataaen mujh ko deta tha
usay main ajnabi samjha magar har mour par Hindwi
wo apne naam ki sari duaaen mujh ko deta tha

Koi Waqt Purana Yaad Aaya


Koi Waqt Purana Yaad Aaya
Phir Guzra Zamana Yaad Aaya
Phir Chaak se un deevaron par
Kuchh Likh kar jaana yaad aaya

Kabhi aisa bhi to hota tha
Main Tujh se milnay aata tha
Jab Wapis Aanay Lagta Tha
Tera Haath Hilana Yaad Aaya

Woh Milna Peepal Ki Chhaon Mein
Tera Sir Rakhna Mere Kandhay Pe
Mera Woh Kehna Koi Dekh Na Lay
Tera Woh Ghabrana Yaad Aaya

Woh Waqt Gaya, Lamhe Beetay
Ab Har Janib Tanhaai Hai
Bas Aik Hai Manzar Aankhon Me
Tera Chhorr Ke Jaana Yaad Aay

Ghazal ki kabr pe aansoo baha ke laut aaya, Mushairon main latife suna ke laut aaya


Ghazal ki kabr pe aansoo baha ke laut aaya
Mushairon main latife suna ke laut aaya

Safar main jitna maza hai wo mainzilon pe kahan
Main is dafa to bahut dur ja ke laut aaya

Ye soch kar ki wo tanhaai saath layega
Main chat pe baithe parinde uda ke laut aaya

Wo ab bhi rail main baithi sisak rahi hogi
Main apna haath hawa main hila ke laut aaya

Khabar mili hai ke sona nikal raha hai wahan
Main jis zameen pe thokar laga ke laut aaya

Wo chahata tha ke kaasa kharid le mera 
Main uske taj ki keemat laga ke laut aaya