Tuesday, July 12, 2011

Meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roay

Meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roay, 
mere azmaney waley mujhey azmakey roay, 

Koi aisa ehley dil ho, ke fasana-e-mohabbat, 
mein ussaey suna ke rou.n, wo mujhey suna ke roye, 

Meri arzo ke duniya dil-e-natwaan kee hasrat, 
jissey khokey shadma they ussey aaj paa ker roye, 

Teri bewafaion per teri kaj adaiyon per, 
kabhi sir jhuka ker roye, kabhi muh chupa ker roye, 

Jo sunaee anjuman ne shab-e-gham kee ap beeti, 
kai.en ro ke muskuraye, kai.en muskura ker roye.

Log kya khoob wafaoon ka silla detey hein

Log kya khoob wafaoon ka silla detey hein 
Har ek moor per zakham nya detey hein 

Tum sey tu khair ghari bhar ki mulaqat rahi
Log sadiyoon ki rafaqat ko bhula detey hein

Kaisey mumkin hai dhuaan bhi na ho aur dil bhi jaley 
Chot perti hai tu pather bhi sada detey hein 

Kaun hota hai museebat mein kissi ka ai dost!
Aag lagti hai tu patey bhi hawa detey hein 

Jin pey hota hai buhat dil ko bharossa 
Waqat perney per wohi log daga detey hein.

Yeh Sabhi Naseeb Key Khail Hain

Yeh Sabhi Naseeb Key Khail Hain
Kisi Haath Mein to Gulaab hon
koi Haath Khaali ho Is Trah
Sabhi Zakhmi Zakhmi Hon UngliyaaN
Kisi Sar Pey Hon Kai SaayebaaN
Kisi Sar Pey Chhat Bhi koi Na Ho
Kahien Paaon Jaltey Hon Dhoop Mein
koi Chaaon Mein Hi Chaley Sada
Kahien Baarsihon Ka Wafoor Ho
Kahin Boond Paani Miley Nahien

koi Khaak Pey Ho Para Hua
To Kisi Key Bakht Mein Takht ho

koi Jeet-ta Hi Rahey Yahan Sada
Kahien Haar Hi Ho Likhi hui
koi Door Reh Key Bhi Paas Ho
koi Paas Reh Key Bhi Door Ho
Kahi.n Faaslon Pey Ruka Hua
Kahi.n Dooriyon Pey Khara Hua
Rahey Raaston ko Talaashta
Kahien Khud Pukaar Lien Manzilien
Unhien jo Chaley Hon Talaash Mein

kohien Haath Yun Hi Uthey Rahien
Kahien Bin Dua Key Miley koi

Jisey Main Ney Maanga Tha Baarha
Vo Habeeb Mujh Sey Bichhar Gya
Mera Humsafar Mujhey Chor Kar
Kisi Aur Simt Chala Gya
Jisey Saath Chalna Tha Umr Bhar
Vo To Chand Qadm Bhi Na Chal Saka

Meri Aankh Mein Vo Jo Khwaab They
Wahi Khwaab Meray Ujr Gaye

Meray Haath Mein Jo Gulaab They
Wo Gulaab Saarey Bikhr Gaye
Yeh Sabhi Naseeb Key Khail Hiin
Kahien Gul Khilien , Kahien Khaar Hon

Bichhar k us se main bas es liye nahi bikhra Wo keh gaya tha yehi waqt terey imtehaan ka hai.

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
K toot kar bhi mera hosla chataan ka hai
Bura na Maan mere hurf-o-lafz zehr sahi
Main kya karun k yehi zaaiqa zabaan ka hai
Meri sanjeedgi mashhoor hai zamaane mein
...Meri khaamoshi bhi Pehlu mere bayaan ka hai
Har ek ghar pe musallat hai dil ki veeraani
Tamaam sheher pe saaya mere makaan ka hai
Bichhar k us se main bas es liye nahi bikhra
Wo keh gaya tha yehi waqt terey imtehaan ka hai.
Jeenaa Azaab Kyun Hai Ye Kyaa Ho Gayaa Mujhe;
Kis Shakhs Ki Lagi Hai Bhalaa Bad-Duaa Mujhe
Ban-Naa Padaa Hai Aap Hi Apnaa Khudaa Mujhe;
Kis Kufr Ki Mili Hai Bhalaa Ye Sazaa Mujhe
Ye Kah Ke Maine Rakkhaa Hai Har Aayeene Kaa Dil;
Agale Janam Mein Roop Milegaa Nayaa Mujhe
Nikle The Dono Bhes Badal Kar To Kyaa Ajab;
Main Dhoondhtaa Khudaa Ko Firaa Aur Khudaa Mujhe
Too Mutmayeen Nahin To Mujhe Kab Hai Aitraaz;
Mitti Ko Phir Se Goonth Meri Phir Banaa Mujhe

Kahan aa ke rukne the raaste

Kahan aa ke rukne the raaste,
Kahaan mod tha, ussay bhool jaa,
Joo mil gaya ussay yaad rakh,
Joo nahien mila ussay bhool jaa,

Woh tere naseeb ki baarishein,
Kisi aur chhat pe baras gayien,
Dil-e-bekhabbar meri baat sun,
Ussay bhool jaa, ussay bhool jaa,

Mein to gum thaa tere hi dhayaan mein,
Teri aass tere gumaan mein,
Saba keh gayi mere kaan mein,
Mere paas aa ussay bhool jaa.

Kisi ki aankh mein nahien ashq-e-gham,
Tere baad kuch bhi nahien hai kam,
Tujhe zindagi ne bhulaa diya,
Tu bhi muskuraa ussay bhool jaa.

Na woh aankh hi teri aankh thi,
Na woh khwaab hi tera khwaab tha,
Dil-e-muntazir to yeh kis liye ,
tera jaagnaa ussay bhool jaa, ussay bhool jaa.

Yeh jo raat din ka hai khel saa,
Ussay dekh iss pe yakeen naa kar,
Nahien aks koi bhi mustaqil sar-e-aaena,
Ussay bhool jaa, ussay bhool jaa.

Jo bisaat-e-jaan hi ulatt gaya,
Woh jo raaste mein palat gaya,
Ussay rokne se haasil kya,
Ussay matt bulaa, ussay bhool ja.

Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho

Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa hai ke tum ho
Yeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhoNka hai, ke pal hai
...Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke saayaa hai, ke tum ho
...
Is deed ki sa'Aat main kaiye rang hain larzaaN
Mein hooN ke koi aur hai duniya hai ke tum ho
DekhO yeh kisi aur ki aankhAin hain ke meri
DekhooN yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho
Yeh umr-e-gurezaaN kahin thehre to yeh jaanooN
Har saaNs main mujh ko yeh lag ta hai ke tum ho
Har bazm main mauzoo-e-suKhan dil zadgaaN ka
Ab kaun hai Shireen hai ke Laila hai ke tum ho
Ik dard ka phaila huA sahara hai ke mein hooN
Ik mauj main aaya huAa dariya hai ke tum ho
Woh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochay
Is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum ho
Aabaad hum aashufta sarOn se nahin maqtal
Yeh rasM abhi shehar main zinda hai ke tum ho
Ae jaan-e-'Faraz' itni bhi taufeeq kise thi
Hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tum ho

Wednesday, June 22, 2011

Jugnu Koi Sitaron Ki Mehfil Mein Kho Gaya

Jugnu Koi Sitaron Ki Mehfil Mein Kho Gaya
Itna Na Kar Malaal Jo Hona Tha Ho Gaya

Perverdigar Jaanta Hai Tu, Sabke Dil Ka Haal
Main Jee Na Payunga Jo Use Kuch Bhi Ho Gaya

Ab Usko Dekh Kar Nahi Dhadkega Mera Dil
Kehna Ki Mujhko Ye Bhi Sabak Yaad Ho Gaya

Baadal Utha Tha Sabko Roolane Ke Vaaste
Aanchal Bhigo Gaya Kahin Daaman Bhigo Gaya

Ek Ladki Ek Ladke Ke Kandhe Pe Soyi Thi
Main Ujli Dhundhli Yaadon Ke Kuhre Mein Kho Gaya

Saturday, June 18, 2011

Badnam mere pyar ka afsana hua hai Deewane bhi kahte hain k diwana hua hai




Badnam mere pyar ka afsana hua hai 
Deewane bhi kahte hain k diwana hua hai
 Rishta tha tabhi to kisi bedard ne tora
Apna tha tabhi to koi begana hua hai
 Badal ki tarah aa ke baras jaiye ek din
Dil ap ke hote huay wirana hua hai 
Bajte hain khayalon may teri yad ke ghungroo
Kuch din se mera ghar bhi parikhana hua hai
Mausam ne banaya hai nigahon ko sharabi
Jis phool ko daikhoon wahi paimana hua hai

chaand apna safar khatm karta raha shama jalti rahi raat dhalti rahi


chaand apna safar khatm karta raha 
shama jalti rahi raat dhalti rahi

khwaab palkon se gir kar fanaah ho gaye
do qadam chal ke tum bhi juda ho gaye
meri haari thaki aankh se raat din 
ek nadi aansuon ki ubalti rahi

chaand apna safar khatm karta raha 
shama jalti rahi raat dhalti rahi

subah maangi toh gham ka andhera mila
mujhko rota sisakta savera mila
main ujaalon ki nakaam hasrat liye
umr bhar mom ban kar pighalti rahi

chaand apna safar khatm karta raha 
shama jalti rahi raat dhalti rahi

chand yaadon ki parcchaiyon ke siwa
kucch bhi paaya na tanhaiyon ke siwa
waqt meri tabaahi pe hansta raha
rang taqdeer kya kya badalti rahi

chaand apna safar khatm karta raha 
shama jalti rahi raat dhalti rahi

dil mein yaadon ke nashtar se toota kiye
ek tamanna kaleja masalti rahi

chaand apna safar khatm karta raha 
shama jalti rahi raat dhalti rahi

Bohat khamoush reh kar wo sadaaen mujh ko deta tha


Bohat khamoush reh kar wo sadaaen mujh ko deta tha
bade bhar-poor jazboun ki qabaaen mujh ko deta tha
kabhi jo dard ki aatish mujhay sulganay lagti thi
wo apne saans ki mehki hawaaen mujh ko deta tha
wo uski chahatain bhe sari duniya se anokhi then
riyazat khud wo karta tha jazaaen mujh ko deta tha
meray ehsaas k seharaoun main jo dhoop badhti thi
wo mousam ka khuda ban kar ghataaen mujh ko deta tha
usay main ajnabi samjha magar har mour par Hindwi
wo apne naam ki sari duaaen mujh ko deta tha

Koi Waqt Purana Yaad Aaya


Koi Waqt Purana Yaad Aaya
Phir Guzra Zamana Yaad Aaya
Phir Chaak se un deevaron par
Kuchh Likh kar jaana yaad aaya

Kabhi aisa bhi to hota tha
Main Tujh se milnay aata tha
Jab Wapis Aanay Lagta Tha
Tera Haath Hilana Yaad Aaya

Woh Milna Peepal Ki Chhaon Mein
Tera Sir Rakhna Mere Kandhay Pe
Mera Woh Kehna Koi Dekh Na Lay
Tera Woh Ghabrana Yaad Aaya

Woh Waqt Gaya, Lamhe Beetay
Ab Har Janib Tanhaai Hai
Bas Aik Hai Manzar Aankhon Me
Tera Chhorr Ke Jaana Yaad Aay

Ghazal ki kabr pe aansoo baha ke laut aaya, Mushairon main latife suna ke laut aaya


Ghazal ki kabr pe aansoo baha ke laut aaya
Mushairon main latife suna ke laut aaya

Safar main jitna maza hai wo mainzilon pe kahan
Main is dafa to bahut dur ja ke laut aaya

Ye soch kar ki wo tanhaai saath layega
Main chat pe baithe parinde uda ke laut aaya

Wo ab bhi rail main baithi sisak rahi hogi
Main apna haath hawa main hila ke laut aaya

Khabar mili hai ke sona nikal raha hai wahan
Main jis zameen pe thokar laga ke laut aaya

Wo chahata tha ke kaasa kharid le mera 
Main uske taj ki keemat laga ke laut aaya