Badnam mere pyar ka afsana hua hai
Deewane bhi kahte hain k diwana hua hai
Rishta tha tabhi to kisi bedard ne tora
Apna tha tabhi to koi begana hua hai
Badal ki tarah aa ke baras jaiye ek din
Dil ap ke hote huay wirana hua hai
Bajte hain khayalon may teri yad ke ghungroo
Kuch din se mera ghar bhi parikhana hua hai
Mausam ne banaya hai nigahon ko sharabi
Jis phool ko daikhoon wahi paimana hua hai

No comments:
Post a Comment