Bohat khamoush reh kar wo sadaaen mujh ko deta tha
bade bhar-poor jazboun ki qabaaen mujh ko deta tha
kabhi jo dard ki aatish mujhay sulganay lagti thi
wo apne saans ki mehki hawaaen mujh ko deta tha
wo uski chahatain bhe sari duniya se anokhi then
riyazat khud wo karta tha jazaaen mujh ko deta tha
meray ehsaas k seharaoun main jo dhoop badhti thi
wo mousam ka khuda ban kar ghataaen mujh ko deta tha
usay main ajnabi samjha magar har mour par Hindwi
wo apne naam ki sari duaaen mujh ko deta tha
bahut sunder
ReplyDeleteAmit sahab bohat bohat shuriya
ReplyDelete