Sunday, April 1, 2012

Isse pahle ke hawa shor machaane lag jaaye,

Isse pahle ke hawa shor machaane lag jaaye,

Mere khuda meri khaak thikaane lag jaaye,

Ghere rahtey hai kaeein khuwab meri aankho ko,

Kaash kuch der mujhey neend bhi aane lag jaaye

To zaruri hai main misr se hijrat kar jaau,

Jab zulekhaa hi mere daam ghataane lag jaaye,

Saal bhar eid ka rastaa nahi dekha jaata,

Wo gale mujhse kisi aur k bahaane lag jaaye,

Meri koshish hai k har shaam ye dhaltaa suraj,

Shab ki dehleez pe ek shama jalaane lag jaaye

Saturday, March 31, 2012

Ab tujh se bicher jane ke imkaan bohot hai..


Jin Raho pe ik umer tere saath raha hoon,
 Kuch roz se wo rastey sunsan bohot hai,

Mil jao kabhi laut k phir ayo na shayad,
 Kamzor hoon mai rah mai toofan bohot hai,

Ik tum hi nahi meri judai mai pareshan,
 Hum bhi to teri chah mai veeran bohot hai,

Ik tark-e-wafa mai usey kaise bhula doo,
 Mujh per abhi us shaks ke ahsan bohot hai,

Bhar aaien na ankhein to mai ik baat bataon,
 Ab tujh se bicher jane ke imkaan bohot hai..


Poochnay walay !


Poochnay walay !

tujhay kaisay bataain aakhir..... ?

'Dukh' ibarat to nahi koi jo tumhain likh ker bhejain

yea kahani bhi nahi hai k sunaain tujh ko......

na koi baat hi aisi k bataain tujh ko......

zakham ho to teray nakhun k hawalay ker dein

aaina bhi to nahi hai k dhikaain tujh ko.....

yea koi raaz nahi, jis ko chupaain to wo raaz

kabhi chehray, kabhi aankhon se chalak jata hai

jaisay aanchal ko sambhalay koi, aur tezz hawa!

jab bhi chaltii hai to shaanoo se dhalak jataa hai

ab tujhay kaisay bataain k hamain 'Dukh' kia hai..... ?